logo

Whatsapp Number: +91-90416-06444

Yaadon mein tum, khwabon mein tum
Aankhon mein tum, dil mein tum
Yaad karein bhi to kaise karein dost tujhko
Jise bhula na paayein wo hi shaks ho tum…..

Wo Teri Baat Phaans Ban Kar Atak Jati Hai Mere Dil Mein
Wo Kabhi Kabhi Bin Maut Mujhe Maar Deta Hai

“Kafan na dalo mere Chehre par.
” mujhe Aadat hai muskuraney ki.”
aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,”
aaj umeed hai unke Aane ki”..:

Aap Ko Jo Dekha Humne, Mano Zindagi Mil Gayi Hai

Apka Pyar Paya Hamne, Mano Janat Mil Gayi Hai

Kamre Veeran, Aankhein Khali Fir Ye Kaisi Aawazein
Shayd Mere Dil Ki Dhadkan Chuni Hai In Deewaro Mein

Aaj halji halki baarish hai,
Aaj sard hawa ka raqs bhi hai,
Aaj phoos bhi nikhre nikhre hain,
Aaj un main tumhara aks bhi hai…

Toote Huye Se Hain Mere Sapne
Roothe Huye Se Hain Mere Apne
Manzil Ki Talash Mei Is Kadar Door Chale Aaye Hain Hum
Tanhai Ke Saaye Hain Na Jaane Kitne
Thami Huyi Si Hai Zindagi
Bikhri Huyi Hai Har Bandgi
Chaahkar Bhi Mud Na Paaye Hum
Bebas Hain Hum Kitne.

Malum Hai Ki Tumhe Pa Na Sakenge
Aap ka Naam Dunia Ke Samne La Na Sakenge
Jaldi Aa Jao Waqt Rukhsat Ka Hai
Tumhe Dekhe Bina Dunia Se Ja Na Sakenge.

Hasaata Hai Mujhko Aur Fir Rula Bhi Deta Hai
Kar Ke Wo Mujh Se Wade Aksar Bhula Deta Hai
Ajab Mizaj Hai Uska
Mohabbat Bhi Karta Hai Phir Nazron Se Gira Bhi Deta Hai

Umar Bhar Tanhai Ka Hissa Rahe
Ye Na Pooch Ke Hum Kaise Zinda Rahe
Us Se Keh Do Ki Ab Kisi Se Bhi Ja Kar Mile
Wo Humare Nahi, Hum Uske Na Rahe

Wo likhte hain hamara naam mitti mein,
Aur mita dete hain,
Unke liye to ye khel hoga magar,
Hamein to wo mitti mein mila dete hain

Yeh dil buraa sahi sar e bazaar to na kehh

Aakhir tu iss makaan me kuch din raha to hai

Main Is Khyal Se Uske Kareeb Aaya Tha
Ki Dusron Ki Tarah Vo Bhi Bewafa Hoga

वो ढल रहा है तो ये भी रंगत बदल रही है

ज़मीन सूरज की उँगलियों से फिसल रही है

er kasz

Nakaam mohabat ka bhi afsaana hoga,
sache pyar ka b harzana hoga,
apne aankho se dekh lena Zalim,
teri “DOLI” se khubsurat mera “JANAZA” hoga

Zindgi Se Pucho Ye Kya Chahti Hai
Bas Ek Dil Se Wafa Chahti Hai
Kitni Masoom Aur Nadaan Hai Zindagi
Khud Toh Bewafa Hai, Aur Dusro Se Wafa Chahti Hai.

Afsana Ranj-O-Gham Ka Suna Ke Chala Gaya
Khushiyon Ka Meri Khoon Baha Ke Chala Gaya
Tha Barf Ki Chattaan Sa Mera Vajood Wo
Paani Bana Ke Mujh Ko, Baha Ke Chala Gaya.

Aankhon mein aansu aa jaate hai,
Phir bhi labon par hasi rakhni padti hai,
Yeh Mohabbat bhi kya cheez hai yaaron,
Jiss se karo ussi se chupani padti hai…

मेरे ही किनारे मुझमें डूब जाते हैं

जब दिलमें उठता है दर्द का तूफां

हज़ारो है मेरे अल्फ़ाज़ के दीवाने

मेरी ख़ामोशी सुनने वाला भी तो कोई हो

Load More
Top