Bewafa Sanam Ka Paygam Aaya
Hume Bhool Jane Ka Sandesha Laya
Dil Ke Ujale Mein Kuch Andhera Sa Chaya
Baat Nikli Jab Pyaar Ki To Baat Baat Par Rona Aaya
बहुत है मेरे मरने पर रोने वाले मगर
तलाश उसकी है जो मेरे रोने पर मरने की बात कह दे।
Agr Bhigne Ka Itna Hi Shaukh Hai Barish Mey,
To Deko Meri Aankho Mey,
Baarish To Har Ek Ke Liye Barasti Hai,
Lekin Ye Aankhe Sirf Tumhare Liye Barasti Hai…
Khuda Kare Wo Ab Jaha Bhi Rehe Kush Rahe
Unke Hisse Ke Aaso Bhi MeriAakho Se Gire
Kuch Waqt Toh Woh Bhi Thehra Tha Uss Mod Per
Jahan Rooh Badan Se Juda Ho Gayi
Aaj Usne Ek Baat Keh Ke Mujhe Rula Diya
Jab Dard Bardaasht Nahi Kar Sakte To Mohabbat Kyo Ki
Mehfil Na Sahi Tanhai To Milti Hai,
Milan Na Sahi Judai To Milti Hai,
Kaun Kehta Hai Ki Pyar Me Kuch Nai Milta,
Wafa Na Sahi Bawafai To
काश वो भी बेचैन होकर कह दे मेँ भी तन्हा हूँ
तेरे बिन तेरी तरह तेरी कसम तेरे लिए
Jaan Kar Bhi Woh Mujhe Jaan Na Paiye;
Aaj Tak Woh Mujhe Pehchaan Na Paiye;
Khud Hi Karli Bewafai Hum Ne Dosto;
Ta-Ke Unn Par Koi Ilzaam Na Aaye
Khel ko uske samajh ne sake hum,
Aur wafaien uspe nisaar kar baithe,
Maqtool bhi hum maqsood bhi hum sacche hue,
Wo aur hame beviqaar kar baithe..
Na Çhahte hue ßhi aa jata hai labo pe tera naam
Kabhi teri Taarif mai Toh kabhi teri Shikayat Mein
Jo me na kar sakka vo tumne mujhse kara diya
Or jo tum na kara sake vo waQt ne mujhse kara diya
er kasz
Sochte Hein Seekh Lein Hum Bhi Berukhi Karna;
Mohobatt Nibhate Nibhate Aaj Humne Apni Hi Kadar Kho Di
Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle;
Halaat Na Thay Aese Teri Mulaqat Se Pehle;
Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete Thay;
Hum Bhi Kitne Saada Thay Muhabbaton K Tajurbat Se Pehle
Bewafai ki kya dava hai yaroo!
Kush kismati uski jiski
Mayyath nikli mehboob ki gali se….
Bathkismathi uski jiski
Mehboob ki baraath nikli uski gali se…
Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah;
Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna
Khuda kare salamat rahe kisi Dua ki tarah
Ek tu Aur doosra Muskrana tera
Jaisi Honi Chahiye Thi Vaisi To Duniya Nahi
Duniyadari Bhi Zaroorat Hai, Chalo Yoon Hi Sahi
Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti
Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti
Mohabbat Naam Hai Khuda Kee Bandagi Ka
Jo Sharton Pe Mile Woh Mohabbat Nahi Hoti
Pathar se wafa, butt se sada maang raha hoon,
Kyu aaj main sehra se ghata maang raha hoon,
Mudat se koi dil ko dukhane nahi aaya,
Aa jao koi zakham naya maang raha hoon...