किसी की यादों में नही लिखता हूँ
हाँ लिखता हूँ तो किसी की याद जरूर आती है
Likh diya apne dar pe kisi ne, is jagah pyar karna mana hai
Pyar agar ho bhi jaaye kisi ko, iska izhaar karna mana hai
Unki mahfil me jab koi aaye, pahle nazare wo apni jhukaaye
Wo sanam jo khuda ban gaye hai, unka deedar karna mana hai
Jaag uththenge to aahe bharenge, husan waalo ko ruswa karenge
So gaye hai jo furkat ke maare, unko bedaar karna mana hai
Humne ki arz ae banda-parwar, kyoon sitam dha rahe ho hum par
Baat sun kar wo humari bole, humse takraar karna mana hai
Bedaag Or Begunah Meri Sarkar Hain
Humse unki Bewafai Se Waqt Ki Maar Hain
Woh Bhale Hain Kitne Sitam Karein Hum Par
Phir Bhi Mere Liye Wo Jaane Bahar Hain
हम तो तेरी बेजान चीजों से भी बिछड कर रो दिया
करते थे
कभी सोचना तुम में तो हमारी जान बसती थी !!
Pyaar me usool to bahut hote hai,
Mohabbat ki kasme sabhi khaate hai,
Dil to aakhir toot hi jata hai,
Phir bhi aashiq rasmo ko nibhaate hai…
बस आख़री साँस बाकी है
तुम आती हो या मैं ले लूँ
नसीहत अच्छी देती है दुनिया
अगर दर्द किसी और का हो
Dil tootne per bhi jab koi shikwa na rahe
Chahe saath nibhane ko koi mitwa na rahe
Zamane bhar ke gum jab has ke sehte hai
Chahat ke isi ehsaas ko to Pyar kehte hai.
Teri Judai Mein Yu Aansu Bahate Rehte Hai
Umeed Ke Diye Aandhiyon Se Bachaye Rehte Hai
Chahat Hai Kewal Tujhse Pyar Paane Ki
Iss Chahat Ko Hi Ek Aas Banaye Rehte Hai
Pal Pal Ki Dosti Ka Waada Hai
Apnapan Kuch Itna Zyada Hai
Na Sochna Ke Bhul Jayen Gay Hum Aap Ko
Zindagi Bhar Satane Ka Irada Hai..
Chand bhi chhip jata hai us ke muskurane se
Din bhi dhal jata hai us ke udas ho jane se
kyun wo nahi samajh paate hain haal-e-Dil mera
ke jeena chhod dete hai us ke rooth jane se…
Aaj phir uski yaad ne rula diya
kesha hain ye chera jisne ye sila diya
do lafj likhne ka salika na tha
uske pyar ne mujhe shayar bana diya
Waqt toh ab hume bhula chuka hain,
Mukaddar bhi kahi hume na bhula de,
Dil se mohabbat hum esliye nahi karte,
Q ki darte h kahi koi fir se hume na rula de
Tumse dur jane ka irada na tha,
sada sath rehne ka bhi vaada na tha,
Tum yaad na kroge ye jante the hum,
Par itni jaldi bhul jaoge aandaja na tha…
Mumkin Hai Nikal Aaye Yahan Koi Musafir;
Sehraa Mein Lagaate Chalo Do Chaar Shajar Aur
Milne ka Vaada Un ki juban se to nikal gya
Poochi Jaga to hans k kaha KHWAAB me
Door Jayega To Phir Aur Bhi Yaad Ayega
Faasle Qurb Ki Buniyad Hua Karte Hain
Unhe chahana hamari kamzori hai,
Unse keh nahi pana hamari majburi hai,
Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai…
रहता तो नशा तेरी यादों का ही है
कोई पूछे तो कह देता हुँ पी रखी है
MuhaBat Ho Chuki Poori
Chalo Ab Zakham Ginte Hain