Insaan na kabhi haskar sikhta hai ,
Na kabhi rokar sikhta hai ,
Par...............
Jab bhi sikhta hai ,
Ya toh kisi ka hokar sikhta hai ,
Ya kisi ko khokar sikhta hai !!
Mujhse mili to laga zindagi ko jeena ka bahana mil gaya..
Jaise kisi banjare ho koi wahid thikana mil gaya..
Yakin se kuch pass tha main apne khwabon ko liye..
Wo aayi to jaise kisi beghar ko asiya
Talaash Karo Koi Tumhe Mil Jayega,
Magar Hamari Tarha Tumhe Kaun Chahega,
Zarur Koi Chahat Ki Nazar Se Tumhe Dekhega,
Magar Ankhein Hamari Kahan Se Layega..
Door Ke Chand Koi Dhundho Na Kisi Aanchal Mein
Ye Ujala Nahi Aangan Ke Saamne Wala
Tumse Pyar Karke Main Deewano Mein Shamil Hua
Pal Pal Teri Yad Mein Jalkar Parwano Mein Shamil Hua
Jis Anjam Ke Hone Se Darta Tha Usi Ka Shikar Hua
Aakhir Teri Barat Mein Barati Bankar Shamil Hua
Khamosh Hoon Mai Lekin Inkaar To Nahi Hai
Meri Nakaamyabi Hai Koi Haar To Nahi Hai
Hum Tumhe Paa Na Sake To Kya Huya
Lekin Sirf Tumhe Paa Lena Hi Pyaar To Nahi Hai
Zindagi se hume koi shikayat nahi
Jee toh rahe h par khusi se nahi
Har shakhs ne dukh b bahut diye
Par hum kisi se naraj bhi nahi
wo toh shok nhi raha ab hme ishq-e mohabbat ka
warna gaw ki gori panghat pe
or sahar ki gori tution pe
aaj bhi hmara intzar karti hain
Itne karib aye ke dur ho gaye,
Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye,
Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya,
tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.
Na Main Pass Unko Bulaa Saka Na Main Dil Ki Baat Suna Saka
Woh Hansi Hansi Main Hi Chal Deeya Ke Main Haath Tak Na Hila Saka
Sard mausam ka maza kitna alag sa hai,
Tanha raat mein intazaar kitna alag sa hain,
Dhund bani naqab, aur chupa lia sitaron ko,
Unki tanhaai ka ab ehsaas kitna alag sa hai..!
Dil ki khwahish ko naam kya dun,
pyar ka use paigam kya dun.
Is dil me dard nahi yaaden hai uski,
ab yaaden hi mujhe dard de to use ilzam kya dun…?
Ya mere khuda kuch to reham kr
Ya to use dil se nikal de ya uske dil me panaah de
Jab Bhi ji mein aaye Mere pass chali aati Ho,""~
A Shab-e-Tanhai kiya Tera b mere s
Tere Waade Par Sitamgar, Abhi Aur Sabr Karte
Agar Apni Zindagi Ka Hamein, Eitbaar Hota
Dekho To Zindagi Bhi Kaisa Fareb Karti Hai
Perchhayian Dikha Kar Jannat Hata Rahi Hai
Maut aur neend mein sirf itna fark hain ki,
Jab hum sote hai toh jamane ka khawab dekte hain
Jab hum marte h to jamana humara khawab dekta hai
Kuch thokr khakr samjhdar ho gye hain
Ab dil ke mashwAro pe amal nhi krte
Umeedon Ke Daaman Mein Zinda Hain Hum;
Warna Jeene Kee Chahat Kahan;
Tumse Milne Kee Aarzoo Liye Firte Hain Dar-b-Dar;
Warna Is Laash Ke Naseeb Mein Kabar Kahan
Kehte hai pyaar ki seema nahi hoti
Yeh toh dhoka hai jo sab kehte hai
Pyaar ki b koi seema honi chahiye
Taki koi dil kisi aur dil ka na ho jaye