Aaya Hi Nahi Humko Aahista Gujar Jana
Sheeshe Ka Muqaddar Hai Takra Ke Bikhar Jana
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi
Kuch beete hue lamhon se mulakat hui,
Kuch bhule hue sapno se bat hui ,
Yaad jo karne baith un tamam yadon ko
to apki hi yadon se shrovat hui.
Pyaar kar k kisi ko dhokha nai dena,
Doston ko aansuo ka tohfa nai dena,
Koi roye aap ko yaad karke,
Zindagi me kabhi kisi ko mouka mat dena..
Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti
Dil Mein Jo Chhupi Hai Who Baat Nahi Samajhti
Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein
Dard Magar Chand Ke Zalim Raat Nahi Samajhti…
Pyar Karna Aasan Hota Hai, Pyar Nibhana Nahi
Aasu Bahana Aasan Hota Hai, Gam Chupana Nahi
Kash Bhool Sakte Hum Unhe, Per Jaante Hain
Kisi Se Dil Lagana Aasan Hota Hai, Unse Dur Jana Nahi.
Mera QatiL Kahi MiLe To Use Yeh Khabar Dena
Jiska Tune QataL Kiya Tha Woh ShakhS AaJ Bhi Zinda Hai
4 phool hum par gire 4 phool unpar gire.
wo bhi saj rahe the hum bhi saj rahe the
fark sirf itna tha hum duniya se ja rahe the aur wo duniya basa rahe the
Kab Ek Sham Ko Tumko Dekha Tha
Aur Kab Subah Hui, Kuch Khabar Nahi
Benaam Sa Ye Dard Thahr Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai Voh Guzar Kyon Nahi Jata
Woh Toh Ab Bhi Apne Pyar Pe Kayam Hai,
Rooh Nikal Chuki Bas Uska Jism Reh Gaya Baki,
Kaise Kahe Ke Kaise Zindagi Usne Beetayi Hai,
Mere Her Gunah Ki Saza Usne Payi Hai..
Thk gye hm unka intzar krte-krte,
Roa hazaro bar khuda se tkrar krte-krte,
Do lbj unki zuba se na nikle,
Or tut gye hm unhe ek trfa pyar krte-krte.
Dhundhle Raaste, Manzil Bhi Anjaani Si,
Rukte Kadam Phir Aage Badh Gaye,
Sochta Hu Is Duniya Ka Bashinda Hu K Nhi
Sochta Hu Tujhse Mohabbat Karke Sharminda Hu Ki Nhi
Vo Shayed Kisi Aur Se Mera Haal Pooch Leti Hogi
Aur… Sochti Hogi Ki Shayed Main Zinda Hu Ki Nhi.
Dard hai dil me par iska ehsaas nahi hota....
rota hai dil jab wo paas nahi hota.
barbaad ho gaye hum unki mohabbat me
aur wo kahte hain ... is tarah pyar nahi hota.
Dard ko na dekho Dard ki nazron se,
Dard ko bhi Dard hota hai.
Dard ko bhi jaroorat hai pyar ki,
akhir pyar mein Dard hi toh humDard hota hai..
Ho nahi sakta mujhe aap ki yad na aye,
bhul k bhi ap ko bhulu wo ehsas na aye,
aap bhule to aap par koi anch na aye,
hum bhule to hmari agli sas na aye
Ye Gazlon ki duniya bhi kitni ajib hain,
Yaha aansuo ka b jaam banaya jata h
Keh bhi dete hai Agar Dard-E-Dastaan
Phir bhi yaha waah waah pukara jata h
Waise Toh Hume Nafrat Hai Apne Bewafai Se,
Lekin Jhutla Nahi Sakte Bewafa Hona Ke Sachayi Se,
Chhoda Tha Saath Uska Jisko Kehte Hum Apne Perchayi The,
Diya Woh Jahaan Use Jismein Khushiyan Na Dekhayi De..
Dil me tamannaon ko dabana seekh gye,
Gam ko ankhon me chhipana seekh gye,
Mere chahre se kahin koi baat zaahir na ho,
Daba ke hothon ko ham muskrana seekh gye
