Wo Ek Shab Jali Tou Usay SHAMMA Keh Dia
Hum Barson Se Jal Rahe Hyn Koi Tou Khitaab Do
Dosto...
Pehle Zindagi Cheen Li Mujhse,
Ab Meri Mout Ka Bhi Wo Fayda Uthati Hai,
Meri Kabar Pe Phool Chadhane Ke Bhahane,
Wo Kisi Aur Se Milne Aati Hai !!
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do
Unko Jana Tha Wo Chle Gye
Hum ko Khona Tha Hum ne Kho Diya
Fark sirf Itna Tha Us ne Zindgi Ka Ik Pal Khoya
Hum ne Ek Pal Mai Puri Zindgi Kho di
taras jaoge tum mehfil-e-wafaa ke liye,
kisi se pyaar na karna KHUDAA ke liye,
jab lagegi ishq ki adalat ek din,
tum hi chune jaaoge ae zaalim SAZAA ke liye..
Shahid Ne Tuzhe Paigaam Likha H,
Haal-E-Dil Tamaam Likha H,
Mar-Mar K Jee Rahe Hai Tere Bin Hum To,
Shab Se Sahar, Sahar Se Shaam Likha H,
Khuda Kare Meri Tarah Kabhi Tu Na Tadpe,
Isliye Apna Har Sukh Tere Naam Likha H,
Jashan Mnata Hu Mai Har Gam Ka Unke Sath,
Kismat Me Meri Jin Aansuo Ka Jaam Likha H,
Or Alvida H Ab Tuzhse Meri Khush Rahna Apni Duniya Me,
Mil Gyi H ‘Kumar’ Ko Bhi Manzil Bas Aakhir Me Tujhe Salaam Likha H.
Kehte Hen Log Mujse Koi Aur Baat Kar..
Laaon Kahan Se Baat, Teri Baat Ke Siwa..... !!!😧😧😧😧😧😧
Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena ham
Khud par itna toh yakeen hai mujhe , ki
Koi chod sakta hai magar bhula nahi sakta !
Dil Ki Dehleez Pe Yaadon Ke Diye Rakhe Hain
Aaj Tak Humne Ye Darwaje Khule Rakhe Hain
Koi fulo say pyar krte h koi kato say
pyar krte h lekin hum usse pyar krte h Jo humse pyar krta hai
Kismat par aitbar kisko hai
Mil jaye khushi inkaar kisko hai
Kuch majburian hain mere dost
Warna judai se pyaar kisko hai
Kabhi Khud Pe To Kabhi Halaat Pe Hansi Aayi;
Tanha Baithe Baithe Beeti Baat Pe Hansi Aayi;
Wo Yaad Aaye To Kuch Pal Ka Rona Aaya;
Phir Agle Hi Pal Mujhe Haal-e-Dil Pe Hansi Aayi
Koi Kuch Bhi Na Kahay To Pata Kya Hai;
Is Bechain Khamoshi Ki Wajah Kya Hai;
Unhein Ja Key Koi Kahey Hum Ley Lenge Zehar Bhi;
Woh Sirf Yeh To Bata Dain Meri Khata Kya Hai
Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye.
Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota;
Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota;
Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein;
Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota
Main Apni Hi Uljhi Huyi Raahon Ka Tamasha
Jaate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata
Apni taqdeer mein toh kuch aise hi silsle Likhe hain..!
Kisi Ne waqt Guzarne ke liye Apna bana liya
To kisi Ne Apna bana kar waqt
Udaasi Tum pe bitegi to Tum bhi jaan jaoge
Koi nazar andaaz karta he to kitna dard hota he
kash ki mere pyar ka aanth kuch iis kadar ho
ki mere kabr par bana unka ghar ho
wo jab bhi sooe zameen par
mere seene se laga unka sar ho!!!!!